poetery sms
1.koi mila he nae jic ko wafa dete
hr Aik nay dhoka dia kic kic ko sazaa dete
yeah hamara zaraf tha k hum chup rahay
varna dastaan sunate tu mefilun ko rulaa dete.
2."Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
3.HOON TU KHAFA US se Per jane phir b q
Na chah kar b usko chahna acha lagta hay
Haqqeqat se hun door Ye mujh ko hay pata
Per jan k anjaan reh na acha lagta hay
Qayel nahi piyar me kuch bhi kehne ki
magar kabhi kabhi kuch us se kehna acha lagta hay
Wo mera tha , wo mera hay , who mera rehega
Kuch pal is khwab me aa jana acha lagta hay
4.*''''GOLDEN WORDS''''*
*Logon se milte waqt itna mat jhuko k uthte waqt sahara lena paray*
.
*Zuban ki hifazat doulat se ziyada mushkil hai*
.
*Ghareeb logon per ehsaan karo kyu k ghareeb hone mai waqt nahi lagta*
.
*Agar NAIKI nahi kar sakte to GUNAH bhi na karo*
.
*Jahan apni baat ki qadar na ho wahan chup rehna hi behtar hy....
5.Uss ny muhabbat ko b ik tijarat samja
Ik dhoka tha main jisy chahat samja
Wo mery dil ko torr karr khush hota raha
Main kaisa deewana thajo dard ko b rahat samja
Uss ny samja hi nahi rishtoo k taqaddus ko kabhi
Yeh faqt khail tha main ny uss ki aadat samja
Har baar uss ny dia meri wafa ko fraib Dost
Main tha k apny pyaar ko ik abadat samja
6.Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain
7.Talluq torna chaho, tm mujh ko chorna chaho
To meri shart itni hai tumhe jo de chuka hun me
mujhe luta do wo sub kuch
Mere namein wo chahat k, wo sub tofein mohabbt k
Wo bhegi diary meri, wo sari shaiyari meri
Sub hi wo phool or pat'tay, wo methi pyar ki batein
Kaho Luta Sako Gay Tum
Mere wo qeemti lamhay jo mujh ko sochte guzray
Wo pal jo aik Qayamat thy jo rasta dekhtay guzray
Khuda ko bhol kar wo din, jo tujh ko buj'tay guzray
Kaho Luta Sako Gay Tum
Haya ki chandni de di
Jiya ki ragni de di
Labu ki tashnagi de di
Hina ki roshni de di
Tujhe to zindagi de di, har aik apni khushi de di
To phir wo zindagi meri, han wo har aik khushi meri
Kaho Luta Sako Gay Tum
Agar mumkin ho aisa Tal'luq toor lena tum
Bhalay phir chor dena tum
Bhalay Phir Chor dena tum